Ghazal-e-Aatish
Weshat-e-Dil ney kiya hai woh biyabaañ pedah
Sainkron kos nahin soorat-e-insaañ pedah
Dil key aainey meiñ kar johar-e-pinhaañ pedah
Dar-o-deewar sey ho soorat-e-janaañ pedah
Baagh sunsaan na kar inko pakarr kar sayyad
Baad muddat huwey haiñ murgh-e-khush’ilhaañ pedah
Ab qadam sey hai mere khana-e-zanjeer aabad
mujh ko wahdat ney kiya silsila-e-jumbaañ pedah
Rooh ki tarha sey daakhil ho jo deewana hai
Jism-e-khaaki samajh isko jo ho zindaañ pedah
Be’hijaaboñ ka magar shehr hai aqleem-e-adam
Daikhta hoon jissey hota hai woh uryaañ pedah
Ik gul aisa nahin howey na khizaañ jiski bahar
kon sey waqt huwa tha yeh gulistaañ pedah
Moojid us ki hai sayyah rozi hamari Aatish
ham na hotey to na hoti shab-e-hijraañ pedah
Add Comment